Sunday, August 21, 2011

Nostalgia !!

"Puraani galiyon se gujra to kyoon udaas dil aaj ho gaya;bahut kuchh paa ke bhi kyon laga ki kuchh to khaas kho gaya.
Dil bahlaane ka saara saaman to thaa,hasin yaadon ko jeene ka wo sab intezaam to tha;Phir kyon dil ka kona ek kuchh soonsaan ho gaya.
Wo najaare,wo khushbu,wo log bahut ajnabee  se to naa the.Shaayad main hi ab koi doosra insaan ho gaya."

Vande Maatram !!

I was looking for a good sms to send to my friends on the Independence day but could not find any.The opening lines of one however caught my attention I added some of my thoughts to it:

Nahi Sirf Jashn Manaana,
Nahi Sirf Jhande Lehraana,
Ye bhi sochna ki aazaadi mili kaise,
yaad un shaheedon ki naa bisraana,
Sochna ki hum iske laayak ban paaye hain kya
humse jo balidaan thaa apekshit wo kar paaye hain kya
humne atyachaar,bhrashtachaar ko jindagi ka ek hissa to nahin maan liya
'Neta matlab bhrasht aadmi',ye rajniti ka kissa to nahin maan liya
kya anyaay dekhkar aaj bhi lahoo hamaara khaulta hai
kya mushkilaaton ke rubaroo, sachh koi bolta hai
Ya hum bas gaafil hain apne chote se jahaan mein
Soye hain Munh maudkar sachchaai ke imtihaan se
"ye mera kaam nahin hain,mujh per to iljaam nahin hai
sab kah rahe hain jab,lagta hai baat wo sahi hai"
aisi soch ko jehan se hai mitaana
desh ka bhavishay hum tum ko hi hai banana
Nahi Sirf Jashn Manana,
Nahi Sirf Jhande Lehrana,
Vande Matram, Jai Hind !!